• Uthiye!
Yuun Ghuttey Rehnay Say Sir ko Hota hai
Souda Vo herjai Aapka Jab na Hua Tou Ghair ka
Kya hoga Diva Ji ! Aap ye Kis ka Soug manaye
Bethi Hain .
|
• mujh ko
shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay le
gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab is
mein tau meri bohut kimati tusweerien
thein is mein buchpun tha mera, aur mera
aihd-e shabab
|
• is ke
badle mujhe tum de gaye jaate jaate apnay
ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab kya
karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker
pehnoon mujh se le lo meri sub chaak qamizoon
ka hisaab
|
|
• aakhri
baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj
tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa
ke le ja'o tum apna yeh damukta hua
phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki
kitaab
|
• Baat
karni mujhe mushkil kabhi aisi toh na
thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi toh
na thi
|
• Le gaya
cheen ke kaun aaj tera
sabar-o-qaraar Beqaraari tujhe, ae dil, kabhi
aisi toh na thi
|
• Un ki
aankhon ne khuda jaane kiya kya jadoo Ke
tabiyyat meri maa'il kabhi aisi toh na
thi
|
•
Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha
lekin Jaise ab hogayi qaatil kabhi aisi toh
na thi
|
• Kya
sabab tu joh bigar tha hai Zafar se har
baar Khoo teri hoor-e-shimaa'il kabhi aisi
toh na thi
|
• mar kay
bhi jo na mar sakay, jab maut kuch na kar
sakay, pee kar jo zinda reh sakay, peena woh
Jaam-e-zindagi.
|
|